Sar zameen-e-hindustan, as salaam alaikum!

Sar zameen-e-hindustan, as salaam alaikum!
Mera naam Baadshah Khan hai.
Ishq mera mazhab, mohabbat mera iman hai.

Mohabbat,
jiske liye Shiri aur Laila ke naam phulon ki khushbhu ban gaye,
jiske liye Farahad ne pahadon ka sina cheer kar dhood ki neher baha di,
jiske liye Majanu ne sehraw ki khaakh chhaani aur aaj bhi zinda hai taarikh ban kar,

Ussi mohabbat ke liye Kabul ka ye pathan Hindustan ki sar zameen se mohabbat ki khair mangne aaya hai.

Aazmayish kadi hai,
imtihan mushkil hai,
lekin haunsla buland hai.

Jeet hamesha mohabbat ki hui hai,
Sadiyon se yahi hota aayah hai, yahi hoga.

Roshani gar Khuda ko ho manzoor, aandhiyon mein chirag jalte hain… Khuda gawah hai!

One thought on “Sar zameen-e-hindustan, as salaam alaikum!”

Leave a Reply to naresh niturCancel reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.